Har samay tere hone ka guma hota hai,
gum to hota hai mujhe par gum bhi raaznuma hota hai.
kis se kah de haal-e-dil aye mere malik,
jis chirag ko tu jala ke rakhti thi,
jalta to vo aaj bhi hai par sirf dhuan hota hai.
waqt guzarta rahta hai unhi lamhon me,
main jagta to hu har subah neend se
par jaise sapno ka sama abhi abhi bandha hota hai.
Wahi ghar, wahi dewaarein aur kabhi na tha kuch,
aisi tanhaai,
mujhe aadat thi is tanhaai ki,
ab lagta hai tanha rahna bhi shyad gunah hota hai.
main intezaar me hu tere,
pata nahi tu is se rubaaro hai ki nahi
par aayegi kabhi fir bewajah tu,
har waqt yahi guma hota hai.....
No comments:
Post a Comment